Jagjit Singh song lyrics

SANTOSH KULKARNI
By -
0

1) Tum Itna Jo Muskuraa Rahe Ho 

Album: The Ghazal Mastermind - Jagjit Singh
{Tum Itna Jo Muskura Rahe Ho } x 2
{Kya Gham Hai Jisko Chhupa Rahe Ho }x2
Tum Itna Jo Muskuraa Rahe Ho
Aankhon Mein Nami, Hansi Labon Par-x2
Kya Haal Hai Kya Dikha Rahe Ho-x2
kya gam hai jisko chhupa rahe ho
tum itna jo Muskura rahe ho
Ban Jayenge Zehar Peete Peete-x2
Yeh Ashq Jo Peete Ja Rahe Ho-x2
Jin Zakhmon Ko Waqt Bhar Chala Hai-x2
Tum Kyon Unhe Chhedhe Ja Rahe Ho-x2
kya gam hai jisko chhupa rahe ho
tum itna jo Muskura rahe ho
Rekhaon Ka Khel Hai Muqaddar-x2
Rekhaon Se Maat Kha Rahe Ho-x2
kya gum hai jisko chhupa rahe ho..
Tum Itna jo...Muskura rahe hoo.. kya gum hai jisko chupa rahe ho..

2) Jhuki Jhuki Si Nazar Bekarar

Jhuki Jhuki see nazar bekaraar hai ki naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen
tu apne dil ki jawaan dhadkanon ko gin ke bataa
meri tarah teraa dil bekaraar hai ki naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen
Jhuki Jhuki see nazar...
wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hotee hain
us eik pal kaa tujhe intezaar hai ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen
Jhuki Jhuki see nazar...
teri umeed pe thukaraa rahaa hoon duniya ko
tujhe bhee apne pe ye aitabaar hain ki naheen.
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hai ki naheen
Jhuki Jhuki see nazar...


3) Honton Se Chhoo Lo Tum

Album: 1
Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm
(Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do) - 2
Ban jaao meet mere
Meri prit amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do
(Na umr ki seema ho
Na janm ka ho bandhan) - 2
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
(Nayi reet chalaakar tum
Yeh reet amar kar do) - 2
(Aakaash ka soonapan
Mere tanha mann mein) - 2
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do
(Jag ne chheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyaara) - 2
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara
(Tum haarke dil apna
Meri jeet amar kar do) - 2
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do


4) Koi Yeh Kaise Bataye Ke 

koi ye kaise bataaye ke, wo tanahaa kyon hai
wo jo apanaa thaa wahee, aur kisee kaa kyon hai
yahee duniyaan hai to fir, ayesee ye duniyaan kyon hai
yahee hotaa hai to aakhir, yahee hotaa kyon hai?
ik zara haath badhaa de to, pakad le daaman
uske seene mein samaa jaaye, humaaree dhadkan
itni kurbat hain to phir, faaslaa itnaa kyon hai?
dil-e-barabaad se niklaa naheen, ab tak koee
ik loote ghar pe diyaa karataa hai, dastak koee
aas jo toot gayee;phir se; bandhaataa kyon hai?
tum masarrat kaa kaho yaa, ise ghum kaa rishtaa
kahate hain, pyaar kaa rishtaa hai janam kaa rishtaa
hai janam kaa jo ye rishtaa to, badalataa kyon hai?

5) Pyar Ka Pehla Khat Likhne Mein

Album: Face To Face
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Naye parindo ko udne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Jism ki baat nahi thi, unke dil tak jaana tha
Jism ki baat nahi thi, unke dil tak jaana tha
Lambi doori, tay karne mein, waqt to lagta hai..
Lambi doori, tay karne mein, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla khat likhne mein, waqt to lagta hai
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ho ya dori
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ho ya dori
Laakh kare koshish, khulne me, waqt to lagta hai..
Laakh kare koshish, khulne me, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Humne ilaaj-e zakhm-e dil to, dhoond liya lekin
Humne ilaaj-e, zakhme dil to, dhoond liya lekin..
Gahray zakhmo ko bharne mein, waqt to lagta hai..
Gahray zakhmo ko bharne mein, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Naye.. parindo ko udne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai

6) CHITTHI NA KOI SANDES

Album: DUSHMAN
CHITTHI NA KOI SNADES JANE WO KONASA DES JAHA TUM CHALE GAYE
IS DIL PE LAGA KAR THES JANE WO KONSA DES JAHA TUM CHALE GAYE.
EK AAH BHARI HOGI HAMANE NA SUNI HOGI
JATE JATE TUM NE AWAZ TO DI HOGI
HAR WAKT YAHI HAI GAM US WAKT KAHA THE HUM KAHA TUM CHALE GAYE
HAR CHIZ PE ASHKOSE LIKHA HAI TUMHARA NAM
YE RASATE GHAR KHALIYAN TUMHE KAR NA SAKE SALAM
HAYE DIL ME RAHE GAYI BAT JALDI SE CHHUDAKAR HATH KAHA TUM CHALE GAYE
AB YADOKE KATE IS DILME CHUBHATE HAI
NA DARD THEHERTA HAI NA ASOO RUKATE HAI
TUMHE DHUND RAHA HAI PYAR HUM KAISE KARE EKRAR KE HA TUM CHALE GAYE

7) Main Bhool Jaaoon Tumhen 

main bhool jaaooN tumhen -2, ab yahi munaasib hai
main bhool jaaooN tumhen, ab yahi munaasib hai
magar bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN -2
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin
yahaaN to dil kaa ye aalam hai kyaa kahooN, kambaKt
bhulaa sakaa naa ye vo silsilaa jo thaa bhi nahin -2
vo ek Khyaal jo aavaaz tak gayaa hi nahin
vo ek baat jo main kah nahin sakaa tumse
vo ek waqt jo ham mein kabhi rahaa hi nahin
mujhe hai yaad vo sab jo kabhi huaa hi nahin
agar ye haal hai dil kaa to koi samjhaaye -2
tumhen bhulaanaa bhi chaahooN to kis tarah bhoolooN
ki tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khvaab nahin -3


8) Pyar Ka Pehla Khat Likhne Mein

Album: Face To Face
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Naye parindo ko udne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Jism ki baat nahi thi, unke dil tak jaana tha
Jism ki baat nahi thi, unke dil tak jaana tha
Lambi doori, tay karne mein, waqt to lagta hai..
Lambi doori, tay karne mein, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla khat likhne mein, waqt to lagta hai
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ho ya dori
Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ho ya dori
Laakh kare koshish, khulne me, waqt to lagta hai..
Laakh kare koshish, khulne me, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Humne ilaaj-e zakhm-e dil to, dhoond liya lekin
Humne ilaaj-e, zakhme dil to, dhoond liya lekin..
Gahray zakhmo ko bharne mein, waqt to lagta hai..
Gahray zakhmo ko bharne mein, waqt to lagta hai..
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai
Naye.. parindo ko udne mein, waqt to lagta hai...
Pyar ka pehla, khat likhne mein, waqt to lagta hai

9) Dil Tarasta Hain 

Ek khalish dil ki yeh, kya se kya kar gayi
khushiyon ki aankh mein, baarishein bhar gayi
log aapno se bhi bekhabar ho gaye,
khushbooyein chooni thi, shauk mein kho gaye (2)
paake jugnu zaara roshni ke liye....
dil tarasta hai aab zindagi ke liye
(Surkh phoolon ke joh narm saaye mile,
aapno ki shakla mein joh paraye mile )(2)
inke peeche zaara soche ke bhargiye,
kache rango ki hai titliyan dekh hi yeh (2)
ek pal hi mila tha khushi ke liye,
dil tarasta hai aab zindagi ke liye
Ek khawahish mein thi sakhro aandhiyaan,
pal mein bikhre sabhi rishton ke aashiyaan (2)
pyaase lab ka yehi sab ko haasil mila,
justju dariya thi khushk sahil mila (2)
kho ke neendein kissi ajnabee ke liya..
dil tarasta hai aab zindagi ke liye

10) Kabhi Toh Aasman Se Chaand Utare 

kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
woh mera naam sun kar kuchh zara sharma se jaate hai
woh mera naam sun kar kuchh zara sharma se jaate hai
bahut mumkin hai kal iska mohabbat naam ho jaaye
bahut mumkin hai kal iska mohabbat naam ho jaaye
zara sa muskurakar haal poochho dil behal jaaye
zara sa muskurakar haal poochho dil behal jaaye
hamara kaam ho jaaye tumhara naam ho jaaye
hamara kaam ho jaaye tumhara naam ho jaaye
kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
ujale apani yaadon ke hamare saath rehne do
ujale apani yaadon ke hamare saath rehne do
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye
kabhi toh aasmaan se chaand utare jaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
tumhare naam ki ek khoobsurat shaam ho jaaye
shaam ho jaaye
shaam ho jaaye

Post a Comment

0Comments

Please Select Embedded Mode To show the Comment System.*